BEBASI
Aaj na Jane nid kaha chali gai...kai
koshish k bad b karwat hi badalte rhe gye..! Fir kya uth kr balcony ki taraf
gye or apne akelepan ko rat k sath bat Liya.. Taro ki taraf dekhna or Chand se
bateen karna purani aadat hai.. Hmare or Chand ki guftgu suru hi hui thi ki
mobile ki ring baji.. Uthne par unki awaz, unhone ne kaha "mujhe Pata tha
tum soi nai hogi" itna sunte hi jaise waqt Tham sa gya tha... Aaj itna
Dino bad jo suni thi wo awaz jiske Bina kbi
raha b nai jate tha..
Bat aaj se 5 Sal pehle ki hai jb hm
mile the.. Mulakat to bhot sahaj se thi par jo hua wo sahaj na tha... Dosti..
Hm or wo aache dost ban gye.. wo lambi
lambi bateen ek dusare ko tang krna ye sab kb pyr me badla dono ko khbar na
hui.. Fir kya rishta chal raha tha sab kuch aacha tha fir ek roz hum ne
kaha"ab is rishte ko ek Nam se dena chahye,Kam se Kam ghar me bata to
sakata hai"fir kya tha unhone unginat bahane mere samane rakh
diye"ghr wale nai mange, abi mai job nai krta, behan ki shadi krni
hai" is ke bad fir kuch pehle jaise nai raha thode jhade hone lage the..
Rishte ki wo mithas Kai kho gai thi.. Ek din jhunjala kr Maine kaha jb rishta
age nai le jana to tod dete hai.. Jaise unko mere itna kehne ka Intezar tha..
Usk bad hum dono ne palate kr nai dekha.. Or aaj itne Dino bad phone achnak se
mai hairan thi... Apni awaz ko sambhalte hue Maine pucha phone kaise Kiya...
Unhone kaha apni galti ko sudhrane ka mauna chahata Hu... Ek din b aisa nai
bita jb tumhe yad na kiya... Us samaye mai tayar nai tha dar gya tha.. Bad me
ehsas hua kitne badi galti ho gai... Tumhre bina age ki zndagi nai soch skta..
Ye sun kr mai rone lagi aankho se ansu ruk hi nai rahe the.. Aaj wo mil gya tha
jise kbi chaha thi.... Bs itni se thi ye kahani...
The narration of d story reminds me of Neelesh Mishra's style...!
ReplyDelete