Saundarya
Aaj mai bagiche me bathi ek chitra dEkh rai, jo mujhe himanshu babu ne di hai..
Himanshu babu ek bahot aache chitrakar hai..
Sundarta ko apne rango or vicharo se kaise nikharna hai unhe bhalibhati aata hai..
Koi bhi chitra banane se pehle uske bare me Pata krte hai, use samajhte hai, uske vicharo ko or uski gambhirta ko Jan ke bad hi chitra banate hai.. Har chitra k piche koi na koi udsaye awasaya
hota hai..
Ye sari batten mujhe uski oor
aakarshit karti hai.. Par ek bat mujhe unki bilkul pasand nai aai, aisa laga
jaise kisi ne ghor aapmaan kr diye ho Mera..!
Wo hai mujhse be-rukhi dikhana..!
Are baato-baato me mai aap ko apne
bare me batana to bhul hi gai..!
Mai miranal..!
kale ghane lambe ghungarle baal, hiran
se kali aankhen, gora rang or gulab se hoth... Sundarta hi parikastha khe
sakate hai... Aisa mai nai yaha sabhi log kehate hai or mante bhi hai.. Aisa
yaha koi yuvak nai jo mujhe pane ki aakancha na rakhta ho.. Har koi mujhe Pana
chahata hai.. Chahata hai ek nazar mai dekh to lu..par mai kaha unki taraf
nazare ghumane wali thi..
Ek taraf jaha apni sundarta pe garv
tha, Wai apne akelepan ki tis bhi thi...Dada ne shadi na karne ka parn liya
tha.. To bache Maa - bauji, Dada or mai... Is pure ghar me kuch Mera tha to wo
tha bagiche ka ye kona.. Jo sirf Mera tha.. Yaha k phool patte hawa or yaha
bitaya har lamha sirf mera..bagiche k is Koney me Maine bhot sundar phool lagwa
rakhe the waha mujhe sukhe patte bilkul nai bhate the.. Is bat ko le kar mai
maali kaka se humesha sikayat karti thi... Us din bhi mai maali kaka se sikayat
kr hi rai thi ki mera dhayan us yuvak par gaya jo meri or maali kaka ki bateen
dhayan se sun raha tha.. Tbi waha bhaiya aaya or use ghar k andar le gye..or
mujhe awaz lagai miranal.. O miranal... Ha dada aai... Aisa khete hue mai andar
chali.. gai..
Ye himanshu babu hai.. Bhot ache
chitrakar... Yaha Bengal ki durgapuja dekhne aye hai.. Ye 10 din humare sath
yai ghar me rahege.. Maa se khe k ek Kamara thek Kara do..." Ji
dada"-mai khe kr waha se Maa k pas chali gai.. Himanshu babu hmare sath hi
rehne lage unhe aye 7 din ho chuke the par unhone mujhe me koi dilchaspi nai
dikhai.. Ye to mere liye jaise chinta ka visay ho gya.. Aisa kaise ho sakata
hai koi mujhe me dhayan na de.. Ye soch kr mai pareshan thi.. Or isi chinta me
mai apne vavhar k vipirit himanshu babu ki kamare k taraf badhi Ja rai thi..
Himanshu babu mujhe aapse kuch bat Krni hai bagiche me aa jyega.. Wo us waqt ek
chitra banane me vayst the.. Mujhse kaha bs ise Pura kr lo fir aata hu.. Ye
jyada jaruri hai.. Itna sun kr mai waha se guse se bagiche me chali gai..
Mujhe rukne ko kaha.. Mujhe.. Aisa
kaise khe sakate hai.. Tbi meri nazar bagiche k sukhe patte or phool padi.. Mai
Mali kaka ko awaz lagane Ja hi rai thi ki meri nazar himanshu babu par padi wo
apne hath me ek kazaz liye meri taraf aa rahe the..
Aa hi gye aap.. Maine itrate hue
kaha.. Koi vikalp nai tha islye aa gya.. Kahiye kyn bulaya hai..aap pehle
vakayati hai jise Maine bulaya hai.. Wanrna log to mujhse bat krne k liye
tarapte hai.. Or aap....rukiye Zara... Meri bat ko rokate hue unhone kaha...
Aap ka bagiche bhot sundar hai par kami hai.. Ye aap k liye.. Kazaz dete hue
kaha.. Mai aaj dophar ki gadi se wapas Ja raha koi galti ho gai ho to chama
chahata hu.. Itna khe kr himanshu babu chale gye.. Gusa to bhot aa raha tha..
Par Maine wo kazaz khola.. Usme Mera chitra Bana hua tha..
Jo char bhag me bibhajit tha.. Ek me
balya-awasta.. Ek me kishora-awasta.. Ek me yuva-awasta or akhir me
vridha-awastha me mujhe darsaya tha.. Bagiche me khade hue.. Charo awastha me
mai badali thi bagiche jo ko tyo tha.. Ye dikh kr to jaise mere ankheen khul
gai... Isme wo satya tha jise mai Kai bhul gai thi.. Mara gurur Kab Mera
ghamand ban gaya tha mujhe ihsaas hi nai hua.. Tbi Mali kaka waha Un sukhe
patte or phool chunane k liye aye.. Aaj Maine unhe rokate hue kaha.. Rehan do
kaka.. In sukhe patto or phoolo ki utni ki awasakata hai jitni in khilte hue
phool ki hai..
Bas itni se thi ye kahani..!
No comments:
Post a Comment