Wednesday, 30 September 2015

UMMEED

                               UMMEED

Aaj mai ghar ki saf - safai kr rai... Tbi almari me mujhe apni or nikhil ki shadi ki album mili...! Mai ruk kr un tasveero ko dekhne lagi.. 
Kitni sachai hoti hai ye tasvireen waqt chahe jo ho ye nai badalti... Jaise ki har rishte me ek kamjoor lamha aata hai.. Waisa hi mere or nikhil k rishte me b hua tha... Mai kaise wo waqt bhul sakati hu... 
Mai or nikhil sath hi Kam Kiya krte the.. Wo company k CEO the or mai HR department dikhti thi..roz ka humara routine fix tha..subha Kam pe jana or Sam ko aa kr office ka bacha hua Kam khatam kr k so jana.. Rojana ki thara aaj ka b din tha nikhil apne time se ready ho gye... Suman... Suman.. Nasta le aao Der ho jygi.. Nasta le kr jb mai aai to nikhil ne kaha "are tum tayar nai hui, tumhe Pata hai na aaj meeting hai.. Chalo Jaldi se tayar ho jao" "nikhil aaj Mera Maan nai hai office Jane ka, tabyat kuch thek nai lag rai.. " aacha chalo thek hai... Itna khe kr nikhil chale gye...ek bar b meri tabyat jane ki kosish nai ki..  Hala ki aisa Kai bars ho chuka tha.. Par aaj bura lag raha tha..Mai uthi or apna ghar sajane lagi.. Jiske liye mujhe samaye hi nai milta tha.. Jab is ghar me aye the to.. Maine or nikhil se bhot se sapane sajaye the.. Yaha ek painting hogi... Yaha humari badi se picture.. Or ghar ka wo kona jaha se garden k phoolo ki khusbu aati hai waha bath kr sath me sham ki Chai Pina... Par Kam k age kbi samaye hi nai mila in sapno ko jine ka... Aaj Maine sab kuch thek Kiya or socha aaj tho waqt se apne ye lamhe jarur chura lungi...sam ho gai nikhil k office se ane ka time ho gya... O aye... Or fresh hone chale gye tb tk Maine Chai Bana li or Wai le kr gai... Nikhil.. Chai ready hai idhar aa jao... Wo aa gye... Tumhe yad hai nikhil.. Hmne yai sath Chai pine ki sochi thi, dekho aaj wo waqt Aya... Aaya nai tumne laya hai... Chai pite hue nikhil ne kaha.. 
"Nikhil.... Tumhe ye ghar Khali-khali nai lagata... Mujhe lagata hai hme ab bache k bare me sochana chahye..... "
Nai abi nai... Bad me sochnge... Mai to tumhe khush khabari dena wala tha... Aaj meeting me hme dubai wala contract mil gaya hai.. Or ye bhot bada contract hai.. Mujhe isme tumhara sath chahaye.. Bache k hone se hum company pe dhayan nai de pyge... Islye tum b Kam pe dhayan do... Nikhil ne kaha... Or apni fileo me me ulagha gye... 
US din mai Wai bathi sochti rai... Man me Aya ki Nikhil se kahu.. Mai thak gai hu is ek ras si zndagi se.. Tumhara sath tumhare sapno ki piche chalte chalte... Thoda ruk jate hai... Ab mujhse chala nai jata... Shadi k 5 Saal ho gye hai jb b bache ki bat kro tumhara yai Jawab hota hai... Ab nai to Kab waqt ayaga.. Yai sochate sochate mai Wai so gai... 
Suman.... Suman... Utho... Ye lo chai... Tum rat yai so gai... Bhot thaki lag rai... Tum ek Kam kro aaj office mat aana.. Aram kro kal se sath kam pe lag jynge... Akhir 7 mahine me dubai wala contract Pura krna hai... OK.. Maine Nasta Bana diya hai.. Kr lena.. Mai office k lye nikal raha bye.... Nikhil itna khe kr chale gye... Mai b akali ghr me kya krti to office chali gai... Mai or Nikhil dubai wale contact k liye sath me Kam krne lage... Ek din achanak mai behose ho kr gir gai... Nikhil mujhe hospital le gye.... Waha Pata chala ki mai pregnant hu... Meri khushi ka to thikana hi na tha... Jitni mai khush hu ye sun kr Nikhil Utne hi pareshan... Hm ghar aa gye... "Kya hua Nikhil... Tum khush nai ho.." Maine pucha.. Nikhil ne Jawab dete hue kaha.. "nai... Ye plan nai tha.. Ab sab kaise manage hoga socha h tum ne... 5 mihane bache h contact Pura krna hai..."  Nikhil don't worry sab ho jyega.. Mai pregnant hu bimar nai... Mai Kam b sambhal lungi or khud ko b... OK ab to thoda has do.. Maine tasali dete hue kaha....sab kuch thek se chal raha tha Kam b or meri tabyat b.. Office me Kam dekh hi rai thi ki Mera paw fisla or mai sidiyo se niche gir padi..or behose ho gai... Hosh aaya to doctor ne bataya ki Mera miscarriage go gya... 

Ye sunte hi.. Aisa laga jaise Mera sab kuch chin gya...mai or nikhil ghar k liye nikal gye.. Raste me unhone bat krne ki, Mera Maan behalane ki kosish ki.. Par Maine koi jawab nai diya..maine office jana band kr diya..ek sham mai khirki k pas khadi garden me dekh rai thi tbi nikhil aaye or khene lage... "you know what, we have successfully completed dubai contact and we got another two big contact, can you imagine where this will take our company" 
"No I not want to imagine about your company, for what you are doing all these things..? "Maine guse me pucha.." meri company ye humari company hai Suman.. Ye sab kuch mai humare lye kr rahe hum dono k future k lye... "nikhil ne jawab diya.." humara future... Kaun sa future jaha Tum Kam me busy raho... Or mai akali.. Mujhe tumhara time chahye, sath chahye.. Humari complete family chahiye.. Why don't you understand.. I want my nikhil back.. Jo jinda dil tha... Choti choti cheezo me khushi khoj leta tha... Look at u.. U r not my nikhil... Go away please leave me alone... "-guse me rote hue aaj Maine nikhil se apne Maan ki sari baat khe di... Nikhil hairan the kyn ki in 5 saalo me pehle bar Maine aise bat ki thi.. Nikhil room me chale gye... 
Suman utho subha ho gai... Chai or ek gulab ka phool liye nikhil ne mujhe jagya... Or kha sorry for everything... Please give me second chance.. Maine b muskura diya... Aaj apne nikhil se jo mili thi.. 
Tbi mere bete rihan ne awaz lagai Maa khana laga do...or nikhil ne movie tickets dete hue kaha Sam ko ready rehna..I m so glad kyn ki Aaj meri family complete thi..
Bas itni si thi ye kahani....

Thursday, 17 September 2015

NADAAN BETA

NADAAN BETA ..


“kahani hain ek maa aur uske bigade bête ki , baap ke gujar jaane ke baad ghar ki haalat bahot kharab ho gayi thi , maa kaise taise kar ke apne ghar ko chala rahi thi . usne bahot mehnat karke apne beta ko padha likha ke bada kiyaa but sharab ki latt ne ghar tabah kar diyaa tha.
beta roj daru pee ke ghar aata aur ladta jhagadta aur apni maa ko gaali detaa.

par maa har roj usko pyaar karti aur khane ko puchti , khana na hone par wo bacha hua khana apne bête ko khilati aur khud bhuke pet so jaati .
ab age . . .. . . . .. “

CHARACTER
1. Maa
2. Beta
3. Maa2
4. Beta2


(Ek din ghar me jab maa bartan dhorahi thi , bahot ganda sa ghar aur tuta darwaja , aur beta so raha tha).
beta- maa paani do jaldi
maa-haan beta main lati hu.
beta-ye kyaa diya mujhe , saaf pani dete nhi banta kya
(aur usne paani ka glass jameen pe gira deta hain jisse wo tute jaata hain)
maa-beta gusa mat ho mera raja beta abhi lati hun acha pani
(maa kue me jaate se pani nikalne lagti hain)

beta-maa mujhe nokari dhundane jana hain paise do , main der se aunga
maa-beta jaldi aajana aur raat me khana kha lena, aur beta ye le 100 rupaye.
beta-100 rupaye, harami saali kaha gye baaki ke rupaye aur de , isse mera kyaa hoga
(maa aur pasie nikal laati hain aur apne bête ko de deti hain)
maa-beta jaldi aajana, main intjaar karungi
(beta chala jaata hai)

(raat ko jab beta nashe ki halat me ghar aata hain)
beta-abhi jinda hut oh .. . . . .(gana gaate hue)
maa-beta kaha reh gya tha aur aaj phir tumne sharab pee, tumhe kitne baar samjhaya ki sharab mat piya kar , tumhe samajh nhi aata hain . saare paise tum sharab me kharch kar dete ho.
beta- (chillate hue)chal bhag yaha se, harami saali , itni dhoop me bahar jaata hoon , sala kitna mehnat karta hoon aur ek bottle daru kyaa pee li saali tum toh jwan ladati hain mujhse,
(wok as ke apni maa ko dhakka deta hai aur uski maa jameen pe gid jaati hain)

beta-chal jaldi khana de warna ghar se bahar nikal dunga
maa-rote hue , abhi lati hu beta.
(thori der baad jab maa khana lati hain toh dekhti hain ki uska beta so gya hai, use bhuka sote dekh wo khud bhi nhi khati hain)
subah subah-
beta-mera shirt kaha hain ,
maa-ye lo beta
beta-ya, kyaa ye toh ganda hain . aur wo use niche fek deta hain aur bolta hain ki kitna ganda hain ye
maa-beta kal andhi aayi thi toh niche gir gya tha par maine saaf kar diyaa hai isshe
(apni maa ke kandho ko kass ke pakad ke aur ek hath se baal pakad ke chillate hue)
Beta-saali randi koi kaam thik se nhi hota tujhse, kamini kulta, maa ke naam pe dhabba ho tum .
(maa-bahot jor jor se rone lagti hain
aur maafi mangne lagti hain .)
beta-chal bhag yaha se
(aur wo use ghar ke ek kamre me band karke aur locker se paise nikal ke bahar chala jaat  hai.)




INTERVAL


(beta sarak pe jaaraha hota hain aur haath me daru ki botel leke daru peete hue)
raste me ek admi se takra jaata hain
beta-dekh ken hi chalet banta kya
admi-abe dur reh , saale ,kaha kaha se aajate hain , maa baap ne kyaa sanskaar diye hain .
beta-abe bhagta hain ya nhi sala
(who admi iske muh lagna thik nhi samajhta aur waha se chala jaata hain)

(kuch dur jaane ke baad woe k chaire pe baith jaat hain aur dekhta hain ki ek aurat salwar suit pehni thi, wo apne 2saal ke bête ko pyaar kar rahi hoti hai aur jhula jhula rahi hoti hain ..)
beta-saale amir jaadde , jyada dikhawati me jeene wale.

(wo waha se chala jaata hain)
kuch dur jaane pe wo dekhta hain ki .
(ek maa apne bête ko apne hatho se khana khila rahi hoti hain, use dekh usko bhi kuch kahne ko mann karta hain but uske pass paise nhi hote hain, jab wo dukan pe hota hain toh dukandaar uski halat dekh ke ussko waha gaali de ke bhaga deta hai)

dukandaar-abe chal bhaag yaha sse beware, pasie hain tere pass jo tu yaha aagyaa.
(phir wo jo maa apne bache ko khila rahi hoti hain , uske pass aati hain aur usko kuch paise deti hain ki wo khale, aur waha se jaane lagti hai)

beta-(kuch sochne lagta hain)
uss maa ka chota beta-(jaate hue)kon thaa mumma wo .

wo aur kuch dur jaata hai, aur bada-pao khate hue,, phir wo dekhta hain ki samne ek bahot garib maa  aur uska chota beta bheek maag raha hota hain)

maa2-kyaa hua beta bhuk lagi hain (rote hue)
beta2-(5saal ka beta)haan mummy bahot bhuk lgi hain kuch khane ko do naa..

(beta gour se sab dekh raha hota hain . us chote se bache ki maa ke pass 2 rupaye hote hain , wo jaake apne bête ke liye 1 puri laati hain)
maa2-ye lo beta puri khao
beta2-maa tum bhi kaho
maa2-beta main khaa liya jab main dukaan pe gyi thi naa tabhi khaa liyaa.
beta2- thik hain maa.
maa2- (bête ko khush khate dekh wo khus hoti hai aur wo, haste hue uske baalo ko sarahne lagi)

(beta uss maa ko dekh sochta rehta hain aur uski aankhe bahrne lagti hain
but wo nahi rota)

Kuch der baad waha ek gubbare wala aata hain.
jo bahot sare gubbare liye hota hain.
beta2-maa maa mujhe gubara chahiye, maa maa mujhe gubara chahiye
maa2-beta ,kya karoge beta baad me le dungi.
(beta2 rone lagta hain)
(maa2 himmat karke gubaare wale ke pas jati hain aur 1 gubra mangti hain, wo use 5 rupaye dene ko kehta hain, par uske pass nhi hota)
gubare wala-5 rupaye de.
maa2-beta mere pass paise nhi hain..
(gubbara wala jore se jhatka deta hain aur wo maa2 niche gir jaati hain, ye dekh uska beta waha dour ke aajata hain aur rone lagta hain aur maa  bhi rone lagti hain)
beta2-maa maa mujhe gubara nhi chahiye maa, mujhe nhi chaiye maa.
maa2-beta tu kyun aagya beta. (aur dono jor jor se ek dusre ko gale laga ke rone lagte hai)

beta- dur khada hoke dekh raha hota hain.(jab gubare wale ne jahtka diya, tab beta khada ho jaata hain aur ek pole ke pass chala jata hain ab uske aankhon me anshu ki bunde aajati hain .. wo koshis karta hain ki wo nai roye but use raha nhi jaata)


(maa bête ko rota dekh gubbara wale ko raha nhi jaata aur 2 gubara de deta hain , maa2 dhanyawaad karti hain aur dono gubara le jaate hain)

(dur jaake dono ma2 and beta2 khush ho jate hain maa2 apne bête ke sir me chumman deti hain aur bolti hain beta ab toh khush hain naa)

beta2-haan maa (aur wo apni ma ko gale laga leta hain)


(beta se raha nhi jaata hain , aur jor jor se rone lagta hain , uske ankhon se anshu paani ki tarah behne lagte hain , wo apni har galti ke liye upaar wale se mafi mangta hain aur apne aap ko koshne lagta hain)

beta dour ke rote rote apne ghar jaata hain aur apne maa ko band darbaje ko kholta hain.
beta-(atyadhik rote hue chehre ke sath) maaa, maa..
maa-beta, kyaa hua beta kyun ro raha hain . tumhe ksi ne kuch kaha kyaa. Beta (maa apne bête ke sath rone lagti hain)
beta- mujhe maf kar do maa, mujhe maff kar do , maine tumhe bahot sataya hain maa.
maa-nhi beta aisa kuch nhi hain beta, tum mat ro beta mera raja..
chalo kuch kha lo , aaj maine tumhre liye kuch banaya hain.
beta-mujhe maaff kar do, main tumhe bahot gaali di aur bahot tang kiya hain.
maa-nhi beta jo ho gyaa bhul jao(apne hatho se apne bête ko khilate hue)

RaNdHiR